Yeh woh jagha ha jahaan har waqt mere Allah ki rehmatein nazil hoti hain.....🖤
The resting places of Muhammad (S. A. W) Hazrat Abu Bakar R. A and Hazrat Umar R.A are positioned in the home of Bibi Aisha (R. A)
wohi hai jiss ney zameen mein jo kuch hai tumharay liye peda kiya , phir woh aasman ki taraf mutawajjah huwa , chunacheh unn ko saat aasmano ki shakal mein theek theek banadiya , aur woh her cheez ka poora ilm rakhney wala hai .
#Surah_Al_Baqarah
Allah apney bandon per boht meharban hai , woh jiss ko chahta hai , rizq deta hai , aur wohi hai jo quooat ka bhi malik hai , iqtidar ka bhi malik .
#Surat_Shooraa
aey emaan walo ! sharab , juoa , button kay thaan aur joye kay teer , yeh sabb napak shetani kaam hain , lehaza inn say bacho , takay tumhen falah hasil ho .
#Surah_Maeeda
aur aisa naa kiya kero kay raaston per beth ker logon ko dhamkiyan do , aur jo log Allah per emaan laye hain , unn ko Allah kay raastay say roko , aur uss mein tairrah peda kernay ki koshish kero . aur woh waqt yaad kero jab tum kam thay , phir Allah ney tumhen ziyada kerdiya.
aur uss shaks say barh ker zalim kon hoga jissay uss kay rab ki aayaton kay hawalay say naseehat ki jaye , to woh unn say mun morr ley , aur apney haathon kay kartoot ko bhula bethay-
Aur jo shaks apne samney hidayat wazeh honey kay baad bhi Rasool ki mukhalifat keray , or mominon ke raastay ke siwa kissi aur raastay ki perwi keray , us ko hum usi raah ke hawalay kerden gay jo us ne khud apnai hai , or usay dozakh mein jhonken gay , or woh boht bura thikana ha
Momin to wo log hain kay jab unn kay samney Allah ka ziker hota hai to unn ke dil darr jatay hain , aur jab un kay samney uss ki aayaten parhi jati hain to woh aayaten unn kay emaan ko aur taraqqi deti hain , or wo apney perwerdigar per bharosa kertay hain .
﴿سورۃ الانفال، ۲﴾