Hazrat Musa ye nahi jaantey the ky ALLAH unke liye samandar se raasta banane wale hain,
Haan lekin ye jaantey the ky ALLAH unhein ruswa nahi karega, isliye ALLAH pe bharosa rakhein kyun ky ALLAH hamare liye hamari soch sy behtreen raastey banane wala hay ♥️🥰
jab tumhari zindagi pareshaniyon se bhar chuki ho, aur tum takleef mein ho toh, sirf ALLAH ko pukaro aur us se madad mango, uski rehmat se mayoos na ho, beshak wohi tumhari mushkilat ko door karne wala hai, aur tumhare dil ko sukoon pohonchane wala hai...♥🌸
Kehte hain ke makafat_e_amal ki chakki chalti to bohot aahista hai, lekin peesti bohot bareek hai isiliye kabhi bhi kisi kya saath bura karte waqt ye sochlena ye waqt wapis aayega aur jo dard tumne kisi aur ko diya hai wo tumhein bhi zarur milega.🙂
Tum dua karna kabhi mat chorna magar haan muqaddar ky piche mat bhagna, bas yakeen rakhna or intezar karna, Kyun ky jo lamhay sabar aazmatey hain, dar asal wohi qabooliyat ky lamhay hotey hain💙
Dil Mayoos Kabhi Na Hone Dena Uski Dair Mai Bhi Kher Hoti Hai Woh Kun Kahega Aur Tum Ghirte Ghirte Sambhal Jaoge Woh Ese Waseele Banayega Tum Hairaan Reh Jaoge Tawakkul Karo Allah Par Unqareeb Woh Tumhare Din Badal Dega! Sunega Woh Sab Duain Aur Band Darwaze Khul Jaenge!...