AIMIM President Barrister @asadowaisi sahab ne The Minister of State for the Ministry of Communications @PemmasaniOnX ko khat likhkar Hyderabad General Post Office (Hyderabad GPO) ko Group 'A' se Group 'B' mein downgrade karne aur Hyderabad City Division mein merge karne ke proposal ko wapas lene ka mutalba kiya.
Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ki Hyderabad GPO ek sadi purana aur aham idara hai, jahan kaafi bada workload hai aur Telangana ka wahid Philatelic Bureau bhi maujood hai.
Ministry of Communication ke Union Minister @JM_Scindia se appeal hai ki Hyderabad GPO ki tareekhi ahmiyat aur awaam ko di jaane wali postal services ko madde-nazar rakhte hue isey ek independent Group 'A' GPO ke taur par barqaraar rakha jaaye.