Vo zulf dhuup meiñ furqat ki aayi hai jab yaad,
To baadal aae haiñ aur shaamiyaane ho gaye haiñ
Jo apne taur se ham ne kabhi guzaare the,
Vo subh o shaam to jaise fasaane ho gaye haiñ
#Jaun#Jauniyat
Niiñd se mujh ko jagaata hai, chalaa jaataa hai,
Vo mere khvaab meiñ aataa, hai chalaa jaataa hai
Aur maiñ tek hataata nahiñ darvaaze se,
Ishq aawaaz lagaata hai, chalaa jaataa hai
#Jahanzeb_Sahir#aawaaz
Kisi ke haal pe hansne gaya tha mehfil mein,
Magar main laut kar hansta hua nahin aaya
Main sharmsaar ke phir der ho gayi mujh ko,
Vo sochta hai ke achchaa hua nahin aaya
Chuni vo bus ke ziyaada thi ladkiyaan jis mein,
Bichhad ke tujh se main rota hua nahin aaya
#Shariq_Kaifi