“Shak To Tha Ke Mohabbat Mein Nuqsan Hoga,
Lekin Yaqeen Na Tha Ke Sara Hamara Hoga”.
—Jaun Elia
“Main Chahti Hoon Phir Bhi To Wo Alfaz Na Likh Paon,
Jis Mein Bayan Ho Jaye Kitni Mohabbat Hai Tum Se”.
—Parveen Shakir
“Main ne aaj phir baith ke tanhai mein,
Ujray dil udaas aankhon ka hisaab likha hai,
Har khwab ka zikr jo tere saath dekha,
Har us zakhm pe khamoshi ka azaab likha hai,
Jo lafz labon tak aa ke izhaar na ban sake,
Unhein ashkon ki zubaan mein be-naqaab likha hai”.
"Kitna chahte hain tum ko kabhi ghor to kar
Itne to hum khud ke bhi talabgar nahi hain,
Hum wafa ke maamle mein darakhton ki tarah hain
Kat jate hain lekin jagah nahi badalte".
uske baad? uske baad maine muskurana chod diya, dil tuta, phir lagana chod diya,
woh dhund rha hai zamane main mujhse bhetar, jiske liye maine zamana chod diya.
Qabr Me Lehraa-E-Ge Tha Hasr Chashme Noor Ke
Jalwah Farma Hogi Jab Tal’At Rasoolullah Ki
Laawarabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat’Ti He Kownain Me Ne’Mat Rasoolullah Ki
Wo Jahannum Me Gaya jo Unse Mustaghni Hua
Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki..