Har ashiq ki lagbhag ek hi kahani hoti hai. Uske aur uski mohabbat ke darmiyaan sari duniya aati rahti hai. Ek mohabbat ke liye anginat imtehaan dene hote hain. Ye nazm kuchh isi kaifiyat ki hai,shayad un logon ki jo aakhir thak haar ke baith gaye.
#AdeelAfzal#ahmadfaraz
Nai hawaao.n ko sohbat bigaad deti hai,
Kabootaro.n ko khuli chhat bigaad deti hai....
Milaana chaaha hai Insaa.n ko jab bhi insaa.n se,
To saare kaam siyaasat bigaad deti hai....
Dr. Rahat Indori
■ Managed by Office of Dr. Rahat Indori