Main libaas nahi hoon, na hi tum… Magar tum mera sukoon ho, meri khamoshiyon ki wajah, aur mere dil ka woh ehsaas ho jise main kabhi khona nahi chahti. ❤️🥀
Main khamosh hoon, magar be-hisaab dard rakhti hoon… Honthon pe muskurahat, aur aankhon mein barsaat rakhti hoon. Koi poochhe toh keh deti hoon theek hoon, warna dil mein ek toota hua jahaan rakhti hoon. 💔🥀
Main ek aisi larki hoon jo sabke liye muskuraati hai, magar apne dard mein chupke se bikhar jaati hai. Na jaane kitni baatein dil mein daba rakhi hain… Ab toh khud ko bhi samjha nahi paati. Kaash koi meri aankhon mein chhupe woh aansu dekh pata jo main har roz chhupa leti hoon.
Main sabke saamne muskuraati hoon, magar andar se na jaane kab se udaas hoon. Thak gayi hoon har baar khud ko mazboot dikhate dikhate. Bas dil chahta hai koi bina kahe meri khamoshi samajh le… kyunki ab apna dard bhi lafzon mein bayan nahi hota. 💔🥀
میری طرف سےدھن تیرس کاتہوارتمام ہندو دوستوں کومبارک ہو
یہ تہوارآپ کی زندگیوں میں خوشحالی محبت صحت کامیابی اوربےشمارخوشیاں لےکرآئےآپ سب کوزندگی کےہرمعاملےمیں مکمل آزادی اپنی پسندکےفیصلےکرنےاوراپنی مرضی سےزندگی گزارنےکاحق حاصل ہواورسیدھےراستےپرچلنانصیب ہو
Happy Dhanteras