Hum ne Allah SWT k pak kalam se yeh seekha hai ke jung mat karo — lekin agar tum par jung thop di jaye, to phir Peeche mat hato.
Pakistan bohot arse se dehshatgardi ka shikar raha hai. Hamari naslain goliyon ki tartarahat aur dhamakon ki goonj sun kar badi hui hain.
Is mitti mein shaheedo ka lahu hai. Aur yahan ab bhi aise naujawaan zinda hain jo maut se waisi mohabbat karte hain jaise kuch log zindagi se karte hain.
Aisi qaum ko koi hara nahi sakta. Un par musallat ki gayi har jung unhein aur zyada jorne, jagane, aur mazboot banane ka sabab banti hai.
Yeh paighaam hai un sab ke liye jo samajhne ki salahiyat rakhte hain.
Hosla rakhna hai. Yaqeen rakhna hai. Na zulm karna hai, na zulm sehna hai.
#PeaceForAll #PakistanZindabad