@Rekhta Koi umeed barr nhi aati
Koi surat nazar nhi aati
Maut ka ek din mu-ayyan hai
Neend kyu raat bhar nhi aati
Kaaba kis muh se jaoge Ghalib
Sharam tumko magar nhi aati
~Mirza Ghalib
@Rekhta Dil-e-naada.n tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai
Hame wafa ki umeed hai unse
Jo nhi jaante wafa kya hai
Jaan tum pe nisaar karta hu
Main nhi jaanta dua kya hai
~Mirza Ghalib
@kavishala Uske chehre ne mera saara gam ojhal kar diya
Uske ishq ne mujhe sach-much paagal kar diya
Main dhuye hi ki tarah kisi ka kaam nhi tha
Usne haath laga kar mujhe baadal kar diya
~Salman