Ki tum meri soch ho , koi tumhe soche kue..
Ki tum meri chahat ho , koi tumhe chahe kue..
Ki tum mera aaina ho, koi tumhe dekhe kue..
Ki tum meri dua ho , koi tumhe maange kue..
Itne Haseen Chehre Mile, Tum Na Mile.. Kuchh To Tumhare Jaise Mile, Tum Na Mile.. Aur Barish, Fiza, Tumhari Pasandida Chai Bhi, Milne Ke Sab Ishare Mile Tum Na Mile..
Aik masla hai jiska hal talaash krna hai..
Mjhe tere sath apna kal talaash krna hai..
Suna hai har roz qaboliyat ka aik lamha aata hai..
Dua soch rkhi hai, wo pal talaash krna hai..