Wafa ke vaade pure na tumhare
Na humare huwe hain
Tum patthar na sahi,
Hum bhi toh taraashe huwe hain
Hum aakhir mai Har jung jeet
Jaate hain dushman se
Bas tere aage hum pehle se
haare huwe hain
-munawar
Be Fikar huwe muje
Ek aarsaa ho gaya hai
aawaz nahi sunta, lagta hai
Yeh sukoon kanhi so gaya hai
Sambhal rakhi hai woh
bachpan ki patang maine
Dhundh raha hun woh
Aasman joh kho gaya hai
- munawar