Mano mere dil ko bikharne ki aadat si ho gayi hai
Jabse tere dil ko mujhse shikayat si ho gayi hai
Na jane kyu mujhe aab dard mehsoos nahi hota
Lagta hai mohobbat aab ibaadat si ho gayi hai
Kya har saal tu mujhe aise hi satayega?
Ya phir sari purani baatein bhool kar laut aayega?
Taras gayi hai aakhein tere didaar ko,
Kabhi hakikat mein aayega ya sirf yaad aayega?
Inn aankhon mein aab nind kahan
Tera chehra mujhe sahi waqt pr sone nahi deta
Khoya rehta hu teri fizaon mein
Tera muskurata chehra kissi aur ka hone nahi deta
Meri nazron se dekhun toh ulfat dikhe
Teri najron se dekhun toh nafrat dikhe
Tum dekho toh kal hua jhagda dikhe
Main dekhu toh ek pyaara sa rishta dikhe
Jab jab tu yaad hai aata,
Main in aakhon se aansuon ko rok nahin pata.
Jab jab Tujhe mehsoos Kiya,
Bus tera chehra dikhe aur kuch yaad nahi aata.
Ye kaisa pyaar hai tera,
Tu Dil mein hai Magar samne kyun nahin aata.
Rehti hai nazrein jhuki hamesha,
Aisa nahi ke didaar karna nahi chahta.!
Chahta hu zindigi bhar tere saath chalu,
Agar tu hai toh kabhi rukna nahi chahta..!
Kabhi dhup kabhi barish Mausam yuhi badalta raha,
Kabhi roya kabhi muskuraya dil yuhi Sambhal ta raha!
Teri dhundhli tasweer dekhne ki khwahish aasman mai
Magar tere naam ka chand har baar dhalta raha..!!