Tasveer banati hai
Nazaron me
Ya
Hawa me saamne
Khwab zindagi hoga
Ya
Khwab hee rahega
Sapne
Waqt ke maaynon
Me
Marate hain
Jo
Fursat ho to
Taaseer taqdeer bane
Zaaya hai kawayaden
Zaaya hai mohalaten
Zaaya shohraten
Zaaya daulaten
Zaaya hai sapney
Zaaya hai zindagi
Zaaya na waqt kar
Zaaya hona hai to
Ishq me
Saansen
Lafz meethe
Labon kee banawat
Nigaah kee jadugari
Chehare kee raunaken
Kisi kee aahaten
Dil kee badal
Zaaya kar
Mere hamsafar
Unake
Bekarar
Lamhe
Lakeeren
Haar ke
Jiye
Bekaraar
Lamhe
Tafseel
Kee
Talaash
Me
Bekaraar
Lamhe
Haasil
Nahi
Par
Jeete
Hain
Mere
Hamsafar
Unake
Bekaraar
Lamhe
Chhor pe meri chakri ghoome
zor pe daanv laga le
Ki mann kee baani laage
Rasbhari
Ek bhonpu se bheed laga le
Jeev me harkat hove re ghanghor
Macha re hod hod ka shor
Chore kaam karen uth bhor
Chori ke bhaaye varsha ghanghor
Ki jag ko preet bana le too
Mulak ko meet bl too
Baant len umra ke faasle
Jaan len lau jo jale
Maan len hifazat tujhme mile
Jaagen bin shor saveron me
Sadiyon kee shohrat dil ko ghere
Dil ke phool hain
Nazaron ke phere hain
Saanson ke mehmaan se dere hain
Vida sharm hai
Jee len Baahon me
Falak tak seedhiyan
Sukoon hai
Tum kah dete
Ki mere paas aaya karo
Yoonhi waqt bitaya karo
Idhar udhar kee sunaya karo
Lamhe me phool ugaya karo
Bolon ke lachche banaya karo
Kabhi kho jaaya karo
Zubaani kashtiyaan ghumaya
Karo