Daan dharm tab karta hai aadmi jab uske apno ka dayra badh jata hai, aur yeh dayra jitna badhta jata hai jitna duniya ke sath apnapan aur pyar badhta hai utna hi aadmi ishwar ke nearest hota hai, dil khulta jaye bas bada hota jaye.
Uske baad jo glow aata hai na woh aur hi hai.
Dekho yaar yeh log baate toh karte hai enlightenment wagerah ki yeh sab baatein hi hai, aur jaha tak baat tumhare free hone ki hai woh tum abhi isi waqt ho sakte ho.
Mujhe apna burden utarna hoga sar pe se toh ek jhatke me utaar sakta hu, dheere dheere kya hota hai?
Herennow.