Karte hain bekason ko pareshan Eid par
Hota hai Ghar batool ka veeran Eid par
Haider ka sar kata kahin Muslim zibah hua
Zainab ko lutte hain muslman Eid par
Yateem bachchon ko khana khilaya karta tha
Ghamo ke maro ko dil se lagaya karta tha
Osi ko qatl kiya hai Namaz main Haye
Jo mushkilaat main Rab ban ke aya karta tha
Adnan Matami 🖊️
क़त्ल करते रहो लेकिन न कभी कम होंगे
एक दिन देखना दुनिया में हम ही हम होंगे
Adnan Matami #Peshawar_Attack
Qatl karte rho lekin na kabhi kam honge
Ek din dekhna Duniya main ham hi ham honge