Imam Ja'far Sadiq (AS)
Jo shakhs Surah Hijr ko likh kar apne khazane ya jeb mein rakhe aur
subah-o-shaam use apne saath rakhe, us ki kamai mein izafa hoga, log khareed-o-farokht ke liye us se rujoo karna pasand karenge aur us ke saath karobar karna pasand karenge.
Imam Zain-ul-Abideen (as)
Jab Hazrat Nuh (A.S.) kashti bana rahe thay toh ek boodhi momina aurat roz Allah ke Nabi ke paas apni gathri le kar aati aur kehti
“Aye Allah ke Nabi, kab kashti rawana hogi?"
Hazrat Nuh (A.S.) farmate "Abhi der hai."
Imam Sajjad ne paas baithe momineen se farmaya
Aye momino, yeh hadees Qayamat tak ke momineen tak pahunchana tum par wajib hai unhein bata do ke jis ne hum se mohabbat ki, Qayamat ka azaab zaroor aayega
Bibi-e-Sayyida (S) ke waqt-e-aakhir
jab Imam Hasan aur Imam Hussain apni Maa se lipat kar rone lage💔
Toh faza mein Hatif-e-Ghaibi ki aawaz goonji
Aye Abal Hasan! In dono ko in se juda kar lijiye kyunki Khuda ki qasam in ke rone ne aasmanon ke farishton ko bhi rula diya hai.😭
"Tum qabaayel ke paaon ke neeche zaleel the, ganda paani peete the aur haiwaanaat ke chamron aur darakhton ke patton se ghiza khaate the, hum ne tumhein tehzeeb sikhaayi."
— Bibi Fatima Zahra (SA), Khutba-e-Fadak
📚 Ref: Balaghat-un-Nisa, p. 23
Hazrat Aisha se riwayat hai ke:
Fawajadat Fatimatu 'ala Abi Bakrin fi dhalika, fahajarathu, falam tukallimhu hatta tuwuffiyat
Fatima (S.) is maamle mein Abu Bakr se naraz huin, un se kinara-kash rahin aur wafat tak un se guftagu nahi ki.
Hawala: Sahih Bukhari, Hadees 4240–4241
Iqtibas: "Fatima (A.S.), Fatima hain."
Na kisi tashreeh ki mohtaj, na kisi tasdeeq ki. Jise Rasool-e-Khuda (S.A.W.W.) ne apni jaan ka tukda kaha, use jhutlane ka haq kisi ummati ko nahi.