Main likhta gaya shayariyan tere jaane ke baad,
Main din ginta raha ke kab ayegi tujhe meri yaad…
Par khuda ne kuch aur likhi thi meri dastaan,
Ke tujhe wohi sab wapis kiya usne jo ho gaya tha main tere baad…🙂
Stop dating those pick me girls right now who says
“Meri toh ladkiyo se banti hi nahi… isiliye mere ladke zyada achhe dost hai”
Itne toh ladko ke dost nahi hote jitne inke hote hai…
Ugly bitches on Dating Apps be like “No hookups/Hookups swipe left”
Bitch! Nobody is even blowing you a flying kiss…
Who do you think you are, Sydney Sweeney?
Tum gair ke ho toh jaoge…
Par gair kabhi tumhara na hoga,
Mere ek ek lafz ke liye tadap jaoge…
Par bair kabhi kam na hoga…
Main wapis na aunga,
Main kho sa jaunga
Jab mile tab narm mizaj tha…
Ab main patthar ka ho jaunga…
Woh tab mili jab umeed chhod di thi pyaar ki maine
Woh aise mili jaise woh bani ho mere liye,
Woh shaks kam farishta zyada lagti hai mujhe,
Mere sapno ka thikana sa lagti hai mujhe
Main hoon thoda pakhandi aur paapi sa, par woh khayr ka ghada bharte rehti hai mere liye…
Maine ishq bola usse mohabbat ho gayi
Maine zakhma bola woh marham ho gayi
Main dhup main chalta raha woh ashiyana ho gayi…
Maine duniya bola aur woh meri ho gayi.
Log puch rahe the humse,
“Shayar sahab kahi pyaar mein khoye ho ya pareshaan ho kya?”
Ab unhe kaun samjhaye!
“Jinhe virasat mein gham mile ho unhe pareshaniyo ka khauf hota bhi hai kya!”