ALLAH ta’ala ke tamam va'ade sacche hain usne qura’an mein farmaya hai “Mujhe pukaro beshak mai behtareen sunne wala hoon” mai tumhe sunta bhi hoon aur dekhta bhi hoon beshak woh As samee aur Al Baseer hai!!! 🍃
jald hi tum woh pa loge jo tumne maanga tha!Aaj ke din sukoon se raho,iss yaqeen ke sath ke behtar din aane wale hain,main dua’a karti hoon ke ALLAH kareem tumhare liye koi maujiza kare aur dua’a qubool farmae!
Jab ALLAH ta’ala tumhare dil mein kuch daal deta hai, to yakeen karo ke yeh wohi hai jo woh tumhare liye chahta hai!or agar tumhe dua mangne ki hidayat mil gyi hai to jawab zaroor tumhare Rab ki aur se ayega!Uske plans par bharosa rakho aur apni dua’aon ko chhoro mat Insha ALLAH.
Apni halat ki wajah se apna sukoon kabhi mat khona.
Kabhi kabhi Allah aapko bechain karta hai,
taake aap aakhirkaar chalna shuru karo —
ruk kar nahi, aage badh kar.
Sab ALLAH ke hawale karke so jaao…haalat hi toh hain ek din badal hi jaaenge! (Inshallah)
Mujhe nahi ma’aloom inn lafzon ki kise zuroorat thhi…mere dimag mein aaye aur maine likh diye!!
Allah kabhi door nahi hota.
Woh un aansuon ko bhi dekh leta hai jo aap kisi ko nahi dikhate.
Woh un du’aon ko bhi sun leta hai jo alfaazon mein nahi dhalti.
Aur chahe aap kitni baar bhi gir jao, Allah aapki har baar waapas aane ka intezaar karta hai. 🤍
Kyu? Kya? Kaise?
Har bar mai hi kyu? Kya karu? Kaise hoga sab saheeh?Aur kitna waqt lagega?
Kya krun aisa jisse sb theek ho jaye? Mujhe nhi pta aapke mann mein in mein se konsa sawal apko rozana maar raha hai.mai bas itna kahoongi.
Hasbiullah🙂
ALLAH kaafi hai hume❤️
Inshallah
Lekin aapko dua'a karte rehna hai aur apne ALLAH par yaqeen rakhte hue dua’aen karte rehna hai, beshak aapke ALLAH ko aapke aansooun ki bohat qadr hai! Woh aapke sukoon ke liye asbaab banaega aap tak apni madad pohnchaega in sha ALLAH! ❤️🫶🏻