مجھے بھی حق ہے تجھ سے اختلاف کا
زمانے کو یہ بات بھی بتائی جائے
سواتی ثانی ریشمؔ –
मुझे भी हक़ है तुझ से इख्तिलाफ़ का
ज़माने को ये बात भी बताई जाये
– स्वाति सानी “रेशम”
#dissent#UrduPoetry#Urdu#Shair
kaise bhar aayiN sar-e-shaam kisi ki aankheN
kaise tharrayi charaghoN ki ziya yaad nahiN
– Saghar Siddiqui
How, at dusk, from someone’s eyes, tears started to fall
how the glow of lamps trembled, I cannot recall
chaand bhi hairaan dariya bhii pareshaani meiN hai
‘aks kis ka hai ki itni roshni paani meiN hai
– Farhat Ehsaas
The moon is amazed, and the river is astonished too,
whose reflection is this, that the water shines through
log kehte haiN mohabbat meiN asar hota hai
kaun se shahar meiN hota hai kidhar hota hai
– Ghulam Hamdani Mushafi
People say that love leaves a mark and casts a spell
In which city does it happen, where does it dwell
hai ‘ajeeb shaher ki zindagi na safar raha na qayaam hai
kahiN karobaar si dopahar kahiN badmizaaj si shaam hai
– Bashir Badr
Strange is this city life, we neither journey on nor stay
here a bustling afternoon, there a surly evening drifts away
ham haiN mata-e-koocha-o-baazar kii tarah
uth-ti hai har nigaah kharidaar ki tarah
– Majrooh Sultanpuri
We are like the wares displayed on the streets and bazaar
every gaze that turns to us is like that of a buyer
ye aur baat hai koii mahke koi chubhe
gulshan to jitna gul maiN hai utna hai khaar meiN
– Nida Fazli
It’s another matter that some spread fragrance, and some prick;
the garden lives as much in every flower as in each thorn of it.
kabhii to khul ke baras abr-e-meharbaaN ki tarah
mera wajood hai jalte hue makaN ki tarah
– Prem Warbartani
Let your benevolence pour like a generous cloud raining
for my being is aflame like a house that is burning
Tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhii tamanna thii ki chaahe jaate
– Shanul Haq Haqqi
You couldn’t ever honor what love required
else I too yearned to be loved and desired
nayi subah pe nazar hai magar aah! ye bhee dar hai
ye sahar bhe rafta rafta kahiN shaam tak na pahunche
– Shakeel Badayuni
A new dawn is in sight, but there is fear too
this dawn may slowly fade into dusk, bidding the day adieu
un se jo kehne gaye thae ‘Faiz’ jaaN sadqa kiye
an-kahii hi rah gayi wo baat sab baatoN ke ba’ad
-Faiz Ahmad Faiz
Ready to give your life, you went “Faiz,” determined to say
but unspoken on your lips, those decided words lay
ham to samjhe thae ki ik zakhm hai bhar jayega
kya khabar thii ki rag-e-jaaN meiN utar jayega
– Parveen Shakir
I thought it was just a wound that would heal on its own
little did I know it would sink deep into my soul
tumhare baad bhala kya haiN wa’ada-o-paimaN
bas apna waqt gawaN luN agar ijaazat ho
– Jaun Eliya
What worth are vows and promises now that you are gone
if you permit, I will merely waste my life away alone
us ne baarish meiN bhii khidkii khol ke dekha nahiN
bheegne waloN ko kal kya kya pareshaani huii
– Jamaal Ehsaani
Even in the pouring rain, she did not open her window to see
the troubles the drenched endured yesterday, and their misery
MaiN badhte badhte kisi roz tujh ko chhuu leta
ki gin ke rakh diye tu ne miri majaal ke din
– Abdul Ahad Saaz
I might have reached out to touch you one day as I grew
but you set limits on my courage and gave me days too few
Thandi sadak thi bekhabar garm dinoN ke qahar se
dhoop ko jhelte rahe ped khade qataar meiN
– Adil Mansoori
The road was cool untouched by the wrath of summer days
while the trees lined up, bearing the blazing sunrays
Wo musafir hii khuli dhoop ka thaa
sayee phaila ke shajar kya karte
– Parveen Shakir
He was a traveler who belonged to the blazing sun
what could the trees with their shadows have done
kahanii hai to itnii hai fareb-e-khwaab-e-hastii kii
ki aankheN band hoN aur aadmi afsaana ho jaaye
– Seemab Akbarabadi
The illusion of life’s dream is no more than this story
as soon as his eyes close forever, a story is all a man will be