My attempt to read and explain the entire Deewan-e-Ghalib. ~1850 shers across 234 ghazals.
samples:
https://t.co/BDmtSleUTU
https://t.co/xcHmT5EWKR
https://t.co/wB2HLHqNkg
https://t.co/1yinohFlLt
Ghalib’s house and grave:
https://t.co/Rh9z9hQz8V
https://t.co/oU34TIBgMb
@FarooqiMehr iftaar-e-saum ki kuch agar dast-gaah ho
us shakhs ko zaroor hai rozaa rakha kare
jis paas roza khol ke khaane ko kuch na ho
roza agar na khaaye toh naachaar kya kare
-Ghalib
na gul khile haiñ na un se mile na mai pii hai
ajiib rañg meñ ab ke bahaar guzri hai
vo baat saare fasāne meñ jis kaa zikr na tha
vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai
-Faiz Ahmad Faiz
fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
ajal kya hai ḳhumaar-e-baada-e-hasti utar jaana
-Chakbast Brij Narayan
ajal: death
ḳhumaar-e-baada-e-hasti: intoxication of the wine of life
#Shayari#poetry
jhumke dikha ke tuur ko jin ne jala diya
aa.ī qayamat unn ne jo parda uThaa diya
ab bhi dimaagh-e-rafta hamara hai arsh par
go aasmaañ ne ḳhaak meñ ham ko mila diya
- Mir Taqi Mir
#poetry#Shayari