Aur Wahi Mohabbat, Wafadari Mazbooti Se Nazar Aane Lagti Hai,Kyu ki Woh Hath Apke Bharose Aur Mohabbat ka Hota Hai___
Jo Apke Mehboob k liye khara Emaan Banta Hai,Aur Apki Mohabbat ko Dusri Hayat Hasil Hoti Hai_!!"Saba"✍️ @DFatma786
"Saba" Mehboob k Mohabbat Aur Wafadari Par Kitni Hi Gard Aur Mitti Kyu Na Ho,jiske Wajah Se Apka Rishta Kamzor Rahta Hai__
Bas Us Rishte ki Mazbooti k liye Sirf Ek Hath Pherne ki Zarurat Hoti hai,Jisse Woh Sari Grad Aur Mitti Saf Ho Jati Hai___✍️✨
Lekin Ek Raaz ki Bat Batau Mai Usse Ab Ishq k Maqam Se kahi Zyada Aage ja Chuki Huh___
jo Sukoon Tasalsal Se use Sopne Se milta hai,Woh Sukoon Mujhe kahi Mayassar Nhi Hota___
Aur Saba Is Ehsas Se Kabhi Bahar Niklna hi Nhi Chahti Hai___!!✍🏻 @DFatma786
Mai Bahut koshish karti huh "Mere YaarMan" khud ko Normal Rakh Saku___
Apne Ap ko Mazboot kar Lu Ki,Kuch Bhi Ho Jaye Mera Dard ya Meri Takleef Meri Aane wali Zindagi Ko khubsurat Rakhne ki Rah Mai Rukawat Na Bane___✍️ @DFatma786
Saba Woh Aisa Chahta Nahi tha Uska Yaqeen Shayad Mukammal Na Ho Saka,Toh Mai Kyu Tadpu Lekin Dimak Musalsal khaye ja Raha Hai___
Saba Ye Dard Mujhe Mar kar Zinda karta hai,Na jane Kab Tak isi Takleef Mai Zindagi Basar karni Hogi___✍️ @DFatma786