Kara jab bhi in hatho ko sahare ko zarurat padi nazre uthai ap hi mile afsos h mujhe mai kuch na kar saki jo ek beti ko karna chahiye Afsos hai Baba Apki baten apki soch Bilkul sahi yeh Duniya jeene nhi deti ek akeli ladki ko yaha har taraf huzum hai bhairyo ka @DFatma786
Apka Bachha Mazboot hai mai apko dekh kar jeeti huh apka sath hi hai jo yaha tak guzar liya mushkilo ka samna kar k mujhe fakhar hai apki aulaad hone par is liye meri zindagi ka har ek faisla apke liye qubool hota hai afsos hai mujhe un faislo par jo maine khud k liye @DFatma786
Baap, Duniya ka Sabse Taqatwar insaan hai,Ap Meri Zindagi k Woh Wahid Shaqs hai jisne ankh band kar k bharosa kya jo khudse bhi zada Meri khushiyon ka khayal Rakha jiske Sare Dard Humari hasi par khatm ho jate jiski jan basti ho mujh mai jiski nazro se mere aansu @DFatma786
Be Shumar Titliyan kaid Hai Tujh Mai Saba
Khuwabo ki,
Khuwahisho ki,
Chahat ki,
Shararton ki,
Mohabbat ki,
Jo khol Du Mai khud ko Aaj bhi Sab Azad Ho jaye_
Udhne Lage,
Chahekne Lage,
Gungunane Lage,
Jeene Lage,
Saans Lene Lage_
Par woh Sab toh Tujh Mai Kaid Hai Saba!! @DFatma786
Phiki Nahi padhti__
Magar kya wakai Baten Bhi Gehri hoti hai Saba??
Tumhare Bad Sitarey Toh Bahut Tuttey hai Hamare pass, Magar Magne ko Kuch Bhi Nahi hai Tere pass Saba__!!! @DFatma786
Gehri toh khamoshi hoti hai jiska Chikhna Shor karna kisi ko Sunai Nahi Deta,Gehri to Dard ki Rat hoti hai jis Mai koi Roshan Sitaray Nahi Hote, Gehrey to DiL Hote hai Saba jo Har Ehsas Apne Ander Dafan Kar lete Aur Gehri to Mohabbat Hoti Hai jo Purani ho kar bhi @DFatma786
Aj kisi Ne Mujhse kaha ki,
"Saba Aap ki Baten Bahut Gehri Hoti Hai"
Mai Tab se Is Soch Mai Gum Huh ki kya Wakai Baten Gehri hoti hai??
Kyu ki Gehrey to Dukh Hote hai jo Dikhai Nahi Dete, Gehrey to Ruh Py Lage Zhakam Hote hai jo kisi ko Dikhte Nahi, @DFatma786
Baaz Dafa Hum khud Wakif Nhi Hote uss Kaifiyat-e-Dard Se jisse hum Guzar Rahe Hote Hai Lekin Hamara Allah Khub janta hai_"jaise Surah Qaaf Mai Farmaya hai Usne"_Humne insan ko Paida kia,aur hum jante hai wo khayalaat jo uske dil mai Guzarte hai aur hum uski rag-e-jaan @DFatma786
Jab Meri Zindagi k Akhri Lamhaat k Chand Second Hoge Aur Meri Ankho Se Aansu Nikal Rahe Hoge To Mai Muskuraugi Pata Hai kyu___??
Kyu k Us Waqat Mai Kahugi, Wah Zindagi kaise-kaise Sataya tune,PaL-PaL Tadpaya Tune Akhir Aaj Tu Bhi Har hi Gai__😊 @DFatma786
Aisa Sathi Aur Shohar Ban Kar Dikhao ki Kal ko Apni Beti k Ache Naseeb ki Dua Mango toh Sharam Na Aye Dusre ki Beti k sath kiye hue sulook par__!!! @DFatma786
Jis Rishte ko Maine Banane Mai Apna Sab kuch Laga Dya
Apna bharosa Apni Puri zindagi bhar ki Mohabbat yaqeen Sab kuch Laga Dya
Us Rishte ko khatam Hone Mai Bss 18mint Lage Saba itna Kamzor Tha Tera Rishta__!! @DFatma786
Us Shaqs k Sath Kitni Na-insafi Hai Na Saba Jis Ne khud ko Tumhre Supurd kya Ho Tumhe Apna Man Kar Tum Par Sab kuch Laga kar Tumhe DiL Mai Basaya Ho, Aur Akhir Mai Tum Usse Bezar Ho jao,Tang Aa jao,Raabta Khatam kar lo Aur Akhir Mai Bolo Mujhe Azad kar do_!!! @DFatma786