dilli jo ek shehr tha aalam mein intikhaab
rehte the muntakhab hi jahaan rozgaar ke
uss ko falak ne loot ke barbaad kar diya
hum rehne vaale hain usee ujde dayaar ke
shifaa* apni taqdeer hi mein na thi
ki maqdoor* tak to davaa kar chale
[ *1 healing, cure, recovery. *2 power, authority ]
vo kya cheez hai aah jis ke liye
har ik cheez se dil uthaa kar chale
kahein kya jo poochhe koi ham se Mir
jahaan mein tum aa.e the kya kar chale
gham-e mazmuun* nah khaatir* mein nah dil mein dard kya haasil
hu'aa kaaghaz namat go rang tera zard* kya haasil
[ *1 grief of themes *2 temperament *3 became pallid/yellow like paper ]