is dunya mein anay se leke maut tak aur phir roz e mashar se leke jannat tak hum insaano ko sab kuch Allah ke fazal se milta hai. humari kya ehsiyat ya humaray amal itnay is qabil kahan ke hume kuch milna chaiyeh. Allah ka shukr kero ke in amaloo ke bawajood itna de raha hai.
Allah tal’la ne hum insaano ko beshumar naimaton se nawaza hai. in naimaton mein hum insaano ke jism aur aqal o shaur ko ek khas maqam hasil hai likan hum sochte nahe hai. hum logo ne apne liye paisa, acha rehn sehan, is sab ko naimat samjh liya hai, yaqeen kero hum gumrah hai.