“Uske baad toh hamne
muskurana chor diya,
Dil aisa toota ki dil
lagana chor diya,
Woh dhoondh raha hai
zamaane mein mujhse bhetar,
Jiski khatir hamne zamana
chor diya”.
log poochlein tumse mera haal,
toh keh dena ,
ke uss sa awaara nahi dekha,
laakh dooriyaan laaya darmiyaan,
lekin uss sa dhitt dobara nahi dekha,
yun toh ghoont peeta raha zeher ke woh har mar-tabah,
lekin uss sa aashiq maine koi humara nahi dekha.
Arunakshi
Padh Rahi hoon aaj kal un likhe panno ko Roz
Jinmai maine humein chuppa rakha hai,
Roz kho jaati hoon unmai mai
Or Roz aakar kehti hoon,
Ke khud ko khud hi mai dafna rakha hai.
- Arunakshi