waqt se bada kuch nahi,
insaan ke paas sabse kam koi cheez hai toh woh waqt hi hai
isliye bahar ki duniya ke banaye gaye hauve se door rahe
aur waqt baantein.
pichle 5 saal se diwali nahi mana paaya, har saal ghar ke aas paas gaon mein koi na koi bhagwan ko pyaara ho hi jaata tha.
Lekin pichle saal aisa nahi tha, sab gharwale ek saath the aur diwali mana rahe the,
magar mai nahi jaa saka ya shayad jaane ka mann nahi tha
tyohaar apno ke saath mana paao ya na
lekin apno ko humesha mehsoos karwate rehna ki woh apne hain bohot zaroori hai
fir shayad ye tyohaar saath na manane ke dukh maayne nahi rakhenge.