Urs-e-Mubarak
Hazrat Makhdoom Aalam Panaah, Shaykh Shah Shoaib Firdausi Sheikhpurvi RadiAllahu Ta'ala Anhu ke Urs-e-Mubarak ke mauqe par tamaam ahl-e-mohabbat ko dili mubarakbaad.
Eid-e-Ghausiya Mubarak
Allah Ta’ala Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Shaykh Syed Abdul Qadir Jilani Baghdadi RadiAllahu Ta’ala Anhu ke faiz-o-karam se hum sab ko barkat, rahmat aur khair se nawaze.
Aameen.
Jama’at Raza-e-Mustafa ke 109th Foundation Day ke mauqe par tamamlam zimmedaran, workers, members aur aqeedatmandon ko dil ki gehraiyon se mubarakbaad.
Allah Ta’ala is tanzeem ko deen, qaum aur insaniyat ki khidmat mein mazeed taraqqi ata farmaye aur iske tamam khidmatguzaron ko nek niyati aur istiqamat ke saath apni khidmat jaari rakhne ki taufeeq ata farmaye.
Jama’at Raza-e-Mustafa Zindabad!
.
.
.
.
#FarmaanHasanKhan
Urs-e-Pak Mubarak
Khaleefa-e-Hazrat Shaikh Bahauddin Ansari Qadri, Musannif-e-Azam, Siraaj-ul-Auliya, Allama-e-Dahr, Ustaaz-ul-Ulama Hazrat Syed Shah Muhammad Ibrahim Irji Qadri Dehlvi Rahmatullahi Alaih ke Urs-e-Mubarak ki tamam aqeedatmandon ko dil ki gehraiyon se purkhuloos mubarakbaad.
Allah Ta'ala unki roohani nisbat aur ilm-o-fazl ke sadqe hum sab par apna fazl-o-karam farmaye aur unke faiz se nawaze.
Jumma Mubarak
Ya Allah! Is ba-barkat Jumme ke sadqe hamari tamam jaayez duaein qubool farma, hamari khataon ko maaf farma aur humein hamesha Seedhi Raah par chalne ki taufeeq ata farma.
Urs Sharif Mubarak
Qutb-ul-Auliya, Qutb-e-Bareilly, Hazrat Makhdoom Syed Shah Jalaaluddin urf Hazrat Shah Dana Wali Sarkar Rahmatullahi Ta'ala Alaih ke Urs-e-Sharif ke purmasarrat mauqe par tamam aqeedatmandon ko dil ki gehraiyon se purkhuloos mubarakbaad.
Allah Ta'ala unki nisbat ke sadqe hum sab par apna fazl-o-karam farmaye aur unke faiz se nawaze. Aameen. 🤲🏻
Hazrat Hasan Basri Rahmatullahi Alaih ki yeh pur-asar naseehat humein maut aur aakhirat ki haqeeqat ki yaad dilati hai. Insaan ko duniya ki ghaflat se nikal kar apne aamaal aur aakhirat ki fikr karni chahiye.
Urs Mubarak
Ghaus-e-Zamana, Sarkar-e-Surkhanhi, Shaikh-ul-Mashaikh, Hazrat Shah Muhammad Tegh Ali Qadri Abadani Rahmatullahi Alaih ke Urs-e-Mubarak ki tamam aqeedatmandon ko purkhuloos mubarakbaad.
Bihar ke Nawada mein Qur’an Sharif ki Be-Hurmati ke afsosnaak waqia par gambhir chinta.
Jama’at Raza-e-Mustafa ke National General Secretary Farmaan Hasan Khan ne Bihar ke Chief Minister ko khat likhkar nishpaksh jaanch aur doshiyon ke khilaaf sakht kanooni karwai ki maang ki.
Urs-e-Pak Mubarak!
Hazrat Khwaja Ubaidullah Ahrar Siddiqui Naqshbandi Samarqandi Rahmatullahi Alaih ke Urs-e-Pak ki tamam aqeedatmandon ko dil ki gehraiyon se purkhuloos mubarakbaad.
Juma Mubarak!
Is Mubarak Jum‘e par Allah Ta'ala aapke dil ko sukoon, zindagi mein barkat, duaaon ko qubooliyat aur har qadam par apni rehmat ki roshni ata farmaaye.
Allah Ta'ala hum sab par apna fazl-o-karam farmaaye.
Aameen.
Urs-e-Pak Mubarak
Khaleefa-e-Hazrat Makhdoom Muneem Pak, Aulad-e-Hazrat Makhdoom Shah Shoaib Hashmi, Hazrat Makhdoom Shah Hasan Ali Shoaibi Munemi Firdausi Sheikhpurvi Rahmatullahi Alaih ke Urs-e-Pak ki tamam aqeedatmandon ko dil ki gehraiyon se purkhuloos mubarakbaad.
Urs Shareef Mubarak!
Jinhone Aala Hazrat Imam Ahmad Raza RadiAllahu Ta’ala Anhu ko dua di aur roohani basharat se nawaaza, Hazrat Shah Fazl-e-Rahman Ganj Muradabadi RadiAllahu Ta’ala Anhu ke Urs-e-Pak ki Mubarakbaad.
Urs-e-Mubarak Ki Purkhuloos Mubarakbaad
21 Rabi-ul-Awwal Sharif ke mubarak mauqe par Shaykh-ul-Muhaqqiqeen, Muhaqqiq Ala-al-Itlaq, Fakhr-e-Millat Hazrat Allama Shaykh Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Qadri Chishti ke Urs-e-Mubarak par tamam aqeedatmandon ko mubarakbaad.
Urs-e-Mubarak ki Purkhuloos Mubarakbaad
Ghaus-ul-Waqt, Aftab-e-Wilayat, Markaz-e-Asfiya, Tajdar-e-Marehra, Hazrat Syed Shah Aal-e-Ahmad Achchhe Miyan Qadri Barkati Marehrawi ke Urs-e-Mubarak ke purnoor mauqe par tamam aqeedatmandon aur chahne walon ko se Urs ki mubarakbaad.
Qutb-ul-Aqtaab Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki Oshi Chishti ke 815ve Urs-e-Pak ke mubarak mauqe par tamam aqeedatmandon aur chahne walon ko dil ki gehraiyon se Urs-e-Pak ki purkhuloos mubarakbaad.