Hume ab kho ke kehta hai ke,
Mujhe tum yaad ate hou
Kisi ka houke kehta hai ke,
Mujhe tum yaad ate hou
Samandar tha tou bara shor krta tha,
Ab qatra hoke kehta hai ke mujhe tum yaad ate hou.
Tere na hone ka Malal ik traf, tu mera Kyu nahi hua ye sawal aik traf, Yakin maan mai bhot khush hon, Lekin jab tu sath tha wo din, wo mahina woh saal aik traf.
Hume ye galat bataya gaya tha ke duniya mai phaar, darakht, phool, parinday, samandar aur kehkashan pyare hai,
Jab hum apni ankh se dekhne ke kabil hoye tou humne ye jana ke duniya mai sab se pyaari chez manpasand shaks hai.